is ke khilte hi har ek samt ujala hoga
is ke khilte hī har ik samt ujālā hogā
ye tabassum hai ise dard ne paalā hogā
jis ne bachpan se hī daulat kā chalan dekhā ho
us kā andāz zamāna se nirālā hogā
ham ko maujoñ se ulajhne kā hunar aatā hai
ham ko mañjdhār ne ḳhush ho ke uchhālā hogā
jis kī rāteñ hoñ kaTīñ barf ke sahrāoñ meñ
us ke talvoñ meñ to ḳhvāboñ meñ bhī chhālā hogā
jis kī har baat tujhe tiir sī chubh jaatī hai
vo bahar-hāl tirā chāhne vaalā hogā
tū to insān hai sandal kā koī peḌ nahīñ
tū ne kis taur se sāñpoñ ko sañbhālā hogā
jin ko aatā hai adab meñ bhī siyāsat karnā
un ke kāñdhoñ pe hī resham kā dushāla hogā
is ke khilte hi har ek samt ujala hoga
ye tabassum hai ise dard ne pala hoga
jis ne bachpan se hi daulat ka chalan dekha ho
us ka andaz zamana se nirala hoga
hum ko maujon se ulajhne ka hunar aata hai
hum ko manjdhaar ne KHush ho ke uchhaala hoga
jis ki raaten hon kaTin barf ke sahraon mein
us ke talwon mein to KHwabon mein bhi chhaala hoga
jis ki har baat tujhe tir si chubh jati hai
wo bahar-haal tera chahne wala hoga
tu to insan hai sandal ka koi peD nahin
tu ne kis taur se sanpon ko sanbhaala hoga
jin ko aata hai adab mein bhi siyasat karna
un ke kandhon pe hi resham ka dushaala hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.