is KHak-dan mein humse samaya na jaega
is ḳhāk-dāñ meñ ham se samāyā na jā.egā
apnī ḳhudī ko itnā ghaTāyā na jā.egā
suqrāt-vār haq kī himāyat karegā jo
kyoñ jām-e-zahr us ko pilāyā na jā.egā
us nāznīñ se baar hai jis par nigāh-e-mehr
bār-e-vafā-e-ahd uThāyā na jā.egā
is qahrmāñ se jis kī hai pāmāl ek ḳhalq
qasr-e-amal kisī kā girāyā na jā.egā
vo chashm-e-nīm-ḳhvāb ki hai hashr dar jilau
fitna uThā ga.ī to biThāyā na jā.egā
nāseh ye kyā kahā ki agar mar miTā kahīñ
tā-hashr phir se tujh ko jalāyā na jā.egā
ham vo nahīñ ki kohkan-o-qais kī tarah
ham se ye bār-e-shauq uThāyā na jā.egā
albatta dil se Dar hai ki laave na ġham kī taab
so us ko bhī ye raaz batāyā na jā.egā
'arshī' ham us kī baat pe kahte haiñ yuuñ bajā
rūThā to phir vo ham se manāyā na jā.egā
is KHak-dan mein hum se samaya na jaega
apni KHudi ko itna ghaTaya na jaega
suqraat-war haq ki himayat karega jo
kyon jam-e-zahr us ko pilaya na jaega
us naznin se bar hai jis par nigah-e-mehr
bar-e-wafa-e-ahd uThaya na jaega
is qahrman se jis ki hai pamal ek KHalq
qasr-e-amal kisi ka giraya na jaega
wo chashm-e-nim-KHwab ki hai hashr dar jilau
fitna uTha gai to biThaya na jaega
naseh ye kya kaha ki agar mar miTa kahin
ta-hashr phir se tujh ko jalaya na jaega
hum wo nahin ki kohkan-o-qais ki tarah
hum se ye bar-e-shauq uThaya na jaega
albatta dil se Dar hai ki lawe na gham ki tab
so us ko bhi ye raaz bataya na jaega
'arshi' hum us ki baat pe kahte hain yun baja
ruTha to phir wo hum se manaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.