is KHarabe mein kahin hain hum bhi
is ḳharābe meñ kahīñ haiñ ham bhī
be-ḳhabar dekh yahīñ haiñ ham bhī
tere hone se tamāshā saarā
tū nahīñ hai to nahīñ haiñ ham bhī
harf likkhe haiñ lahū se apne
ho bashārat ki kahīñ haiñ ham bhī
vo bhī āshufta-sarī kī zad par
ik tabī.at ke nahīñ haiñ ham bhī
is KHarabe mein kahin hain hum bhi
be-KHabar dekh yahin hain hum bhi
tere hone se tamasha sara
tu nahin hai to nahin hain hum bhi
harf likkhe hain lahu se apne
ho bashaarat ki kahin hain hum bhi
wo bhi aashufta-sari ki zad par
ek tabiat ke nahin hain hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.