is KHizan ki rut mein apna sath achchha rah gaya
is ḳhizāñ kī rut meñ apnā saath achchhā rah gayā
sab parā.e ho ga.e ik maiñ hī apnā rah gayā
zindagī hamvār thī to saath thā amboh ek
zindagī ke moḌ par pahuñchā to tanhā rah gayā
kal sajā thā jin ke chehroñ par mohabbat kā naqāb
kitnī hairat se unheñ maiñ aaj taktā rah gayā
ek saaya thā chalā sub.h-e-azal mujh se tavīl
āfatoñ kā āftāb aayā to chhoTā rah gayā
vo zamāna thā kabhī ki thā hujūm ik sub.h o shaam
yaad thā sab kuchh hameñ bas yaad itnā rah gayā
jo kisī ke jism kā kal tak rahā thā ik libās
ab alaihada yuuñ huā ki koī nañgā rah gayā
har hasīñ chehre pe jam kar rah ga.ī mausam kī gard
har hasīñ chehra mire album kā dhuñdlā rah gayā
maiñ bhalā kaise karūñ pābandi-e-ahl-e-fareb
maslahat meñ Duub kar kaise vo sachchā rah gayā
jab huī hai ġham kī yūrish har taraf se be-hisāb
maiñ ne ḳhushiyāñ baañT diiñ aur ḳhud nihattā rah gayā
har koī tark-e-ta'alluq par musir hai ab 'ḳhayāl'
aa mire dil tū bhī aa jā kis kā dhaḌkā rah gayā
is KHizan ki rut mein apna sath achchha rah gaya
sab parae ho gae ek main hi apna rah gaya
zindagi hamwar thi to sath tha amboh ek
zindagi ke moD par pahuncha to tanha rah gaya
kal saja tha jin ke chehron par mohabbat ka naqab
kitni hairat se unhen main aaj takta rah gaya
ek saya tha chala subh-e-azal mujh se tawil
aafaton ka aaftab aaya to chhoTa rah gaya
wo zamana tha kabhi ki tha hujum ek subh o sham
yaad tha sab kuchh hamein bas yaad itna rah gaya
jo kisi ke jism ka kal tak raha tha ek libas
ab alaihada yun hua ki koi nanga rah gaya
har hasin chehre pe jam kar rah gai mausam ki gard
har hasin chehra mere album ka dhundla rah gaya
main bhala kaise karun pabandi-e-ahl-e-fareb
maslahat mein Dub kar kaise wo sachcha rah gaya
jab hui hai gham ki yurish har taraf se be-hisab
main ne KHushiyan banT din aur KHud nihatta rah gaya
har koi tark-e-ta'alluq par musir hai ab 'KHayal'
aa mere dil tu bhi aa ja kis ka dhaDka rah gaya
- Book : aks-e-khvaab (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.