is KHwab ki nadi ki rawani mein kahin ho
is ḳhvāb kī nadī kī ravānī meñ kahīñ ho
paanī mujhe kahtā hai ki paanī meñ kahīñ ho
tum peḌ kā kirdār nibhāne chale aa.e
tum dhuup kī sūrat bhī kahānī meñ kahīñ ho
ye mausam-e-sarsabz ye khiltī huī yādeñ
dil kahtā hai tum raat kī raanī meñ kahīñ ho
yāroñ meñ mohabbat nahīñ maujūd zarā bhī
ye baat kisī dushman-e-jānī meñ kahīñ ho
Thahre hue pal meñ jo sukūñ DhūñD rahī huuñ
mumkin hai kisī naql-e-makānī meñ kahīñ ho
ye kaun dhanak laayā mire dil ke ufuq par
lagtā hai ki tum rañg-rasānī meñ kahīñ ho
is KHwab ki nadi ki rawani mein kahin ho
pani mujhe kahta hai ki pani mein kahin ho
tum peD ka kirdar nibhane chale aae
tum dhup ki surat bhi kahani mein kahin ho
ye mausam-e-sarsabz ye khilti hui yaaden
dil kahta hai tum raat ki rani mein kahin ho
yaron mein mohabbat nahin maujud zara bhi
ye baat kisi dushman-e-jaani mein kahin ho
Thahre hue pal mein jo sukun DhunD rahi hun
mumkin hai kisi naql-e-makani mein kahin ho
ye kaun dhanak laya mere dil ke ufuq par
lagta hai ki tum rang-rasani mein kahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.