is liye bhi dukh nahin takrar ka
is liye bhī dukh nahīñ takrār kā
taar usī ne ham meñ joḌā pyaar kā
phuul ne hī ḳhaar bhejā hai mujhe
ġham kā tohfa hai diyā ġham-ḳhvār kā
zahr lagte haiñ tumhāre mīThe bol
qatl kar degā ye lahja pyaar kā
sar pahuñchtā hai hamārā daar tak
sar nahīñ jaatā kisī sardār kā
garm chaa.e pī hai terī yaad kī
tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār kā
chhuTTī le lī hai tumhāre vāste
kaun dekhe rāsta itvār kā
'gauhar' us kā yaum-e-paidā.ish hai ye
ye jo number hai hamārī car kā
is liye bhi dukh nahin takrar ka
tar usi ne hum mein joDa pyar ka
phul ne hi KHar bheja hai mujhe
gham ka tohfa hai diya gham-KHwar ka
zahr lagte hain tumhaare miThe bol
qatl kar dega ye lahja pyar ka
sar pahunchta hai hamara dar tak
sar nahin jata kisi sardar ka
garm chae pi hai teri yaad ki
tishna-lab hun sharbat-e-didar ka
chhuTTi le li hai tumhaare waste
kaun dekhe rasta itwar ka
'gauhar' us ka yaum-e-paidaish hai ye
ye jo number hai hamari car ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.