is liye bhi mujhe tujhse milne mein taKHir hai
is liye bhī mujhe tujh se milne meñ tāḳhīr hai
ḳhvāb kī samt jaatī saḌak zer-e-ta.amīr hai
itne phuul ik jagah dekh kar sab kā jī ḳhush huā
pattiyāñ jhaḌne par koī koī hī dil-gīr hai
hañstī duniyā milī aañkh khulte hī rotī huī
ye mirā ḳhvāb thā aur ye us kī ta.abīr hai
jis zabāñ meñ hai us kī samajh hī nahīñ aa rahī
ġhaar ke daur ke ek insāñ kī tahrīr hai
rahm khātī huī kitnī nazroñ kā hai sāmnā
merī hālat hī shāyad mire ġham kī tash.hīr hai
kaisā kaisā hai jalva mire sāmne is ghaḌī
phir bhī chashm-e-tasavvur meñ terī hī tasvīr hai
is liye bhi mujhe tujh se milne mein taKHir hai
KHwab ki samt jati saDak zer-e-tamir hai
itne phul ek jagah dekh kar sab ka ji KHush hua
pattiyan jhaDne par koi koi hi dil-gir hai
hansti duniya mili aankh khulte hi roti hui
ye mera KHwab tha aur ye us ki tabir hai
jis zaban mein hai us ki samajh hi nahin aa rahi
ghaar ke daur ke ek insan ki tahrir hai
rahm khati hui kitni nazron ka hai samna
meri haalat hi shayad mere gham ki tashhir hai
kaisa kaisa hai jalwa mere samne is ghaDi
phir bhi chashm-e-tasawwur mein teri hi taswir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.