is liye dard-e-mohabbat mujhe dubhar na hua
is liye dard-e-mohabbat mujhe dūbhar na huā
maiñ ne jo kuchh kabhī chāhā vahī aksar na huā
dekh kar shakl vo ā.īne meñ jab itrāyā
haif us vaqt mire haath meñ patthar na huā
kitne phūloñ ko masal Daalā hai gulchīñ ne 'kamal'
vaa.e qismat ye chaman phir bhī mo.attar na huā
is liye dard-e-mohabbat mujhe dubhar na hua
main ne jo kuchh kabhi chaha wahi aksar na hua
dekh kar shakl wo aaine mein jab itraya
haif us waqt mere hath mein patthar na hua
kitne phulon ko masal Dala hai gulchin ne 'kamal'
wae qismat ye chaman phir bhi moattar na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.