is liye kam kisi se milta hai
is liye kam kisī se miltā hai
ḳhud se mil kar mujhī se miltā hai
chashm-e-girya ko dekhiyegā kabhī
dil kā dariyā isī se miltā hai
jis ko dekhā nahīñ kabhī maiñ ne
terā chehra usī se miltā hai
terī āñkheñ batā rahī haiñ mujhe
ḳhvāb meñ tū kisī se miltā hai
maiñ ne dekhā thā ḳhvāb meñ us ko
vo mirī shā.irī se miltā hai
ā.īna dekhte hī yaad aayā
merā chehra kisī se miltā hai
kuchh to ḳhūbī hai aap meñ 'tābish'
har koī aap hī se miltā hai
is liye kam kisi se milta hai
KHud se mil kar mujhi se milta hai
chashm-e-girya ko dekhiyega kabhi
dil ka dariya isi se milta hai
jis ko dekha nahin kabhi main ne
tera chehra usi se milta hai
teri aankhen bata rahi hain mujhe
KHwab mein tu kisi se milta hai
main ne dekha tha KHwab mein us ko
wo meri shairi se milta hai
aaina dekhte hi yaad aaya
mera chehra kisi se milta hai
kuchh to KHubi hai aap mein 'tabish'
har koi aap hi se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.