is liye KHauf aur hiras nahin
is liye ḳhauf aur hirās nahīñ
koī sarmāya mere paas nahīñ
har jagah mutma.in kiyā ḳhud ko
ab mirā dil kahīñ udaas nahīñ
chhoḌ deñ apnī apnī duniyā ko
is qadar donoñ bad-havās nahīñ
ghar ke peḌoñ se uḌ ga.e panchhī
chahchahāne kī koī aas nahīñ
jal rahīñ haiñ sabhī kī dīvāreñ
ab muñDeroñ pe koī ghaas nahīñ
ek hī rang hai mohabbat kā
ye yaqīñ hai mirā qayās nahīñ
she'r maiñ ne kahe haiñ jo 'gauhar'
vo kitāboñ kā iqtibās nahīñ
is liye KHauf aur hiras nahin
koi sarmaya mere pas nahin
har jagah mutmain kiya KHud ko
ab mera dil kahin udas nahin
chhoD den apni apni duniya ko
is qadar donon bad-hawas nahin
ghar ke peDon se uD gae panchhi
chahchahane ki koi aas nahin
jal rahin hain sabhi ki diwaren
ab munDeron pe koi ghas nahin
ek hi rang hai mohabbat ka
ye yaqin hai mera qayas nahin
she'r main ne kahe hain jo 'gauhar'
wo kitabon ka iqtibas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.