is liye lagta hai mujhko Dar dar-o-diwar se
is liye lagtā hai mujh ko Dar dar-o-dīvār se
mujh pe hañstā hai koī shab bhar dar-o-dīvār se
tere bin maiñ ḳhaak huuñ aur mere bin tū ḳhaak hai
ghar se haiñ dīvār-o-dar aur ghar dar-o-dīvār se
ghar pe hallā boltā hai shaam ho jaane ke baa'd
ik purānī yaad kā lashkar dar-o-dīvār se
kis tarah kā shahr hai ye kis tarah ke log haiñ
pheñktā hai har koī patthar dar-o-dīvār se
yuuñ dil apnā khol kar tū 'ishq kī bāteñ na kar
ghar kisī anjān kā hai Dar dar-o-dīvār se
baiTh jaatā huuñ kisī kone meñ chhup kar is liye
ḳhauf aatā hai mujhe aksar dar-o-dīvār se
ḳhvāb ne ye chīḳh kar mujh se kahā 'yāsir-gumān’
jhāñk kar dekhā bhī kar bāhar dar-o-dīvār se
is liye lagta hai mujh ko Dar dar-o-diwar se
mujh pe hansta hai koi shab bhar dar-o-diwar se
tere bin main KHak hun aur mere bin tu KHak hai
ghar se hain diwar-o-dar aur ghar dar-o-diwar se
ghar pe halla bolta hai sham ho jaane ke ba'd
ek purani yaad ka lashkar dar-o-diwar se
kis tarah ka shahr hai ye kis tarah ke log hain
phenkta hai har koi patthar dar-o-diwar se
yun dil apna khol kar tu 'ishq ki baaten na kar
ghar kisi anjaan ka hai Dar dar-o-diwar se
baiTh jata hun kisi kone mein chhup kar is liye
KHauf aata hai mujhe aksar dar-o-diwar se
KHwab ne ye chiKH kar mujh se kaha 'yasir-guman’
jhank kar dekha bhi kar bahar dar-o-diwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.