is liye milta hai wo mah-e-laqa tisre din
is liye milta hai wo mah-e-laqa tisre din
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
is liye miltā hai vo māh-e-laqā tīsre din
ruḳh badaltī hai zamāne kī havā tīsre din
nusḳhe par nusḳhe badal kar mujhe kahte haiñ tabīb
apnī tāsīr dikhātī hai davā tīsre din
baad do roz ke hai apnā lahū mujh ko mubāh
fāqa-kash ko huā murdār ravā tīsre din
āḳhirash roz hai kyoñ marg-e-adū kā mātam
sog ko dete haiñ duniyā meñ baḌhā tīsre din
ai ġham-e-yār mire dil meñ Thikānā kab tak
sāhab-e-ḳhāna ko mehmāñ hai balā tīsre din
jang ke baad agar sulh na ho sad-afsos
chāhiye qalb-e-mukaddar ho safā tīsre din
rahī har lahza hamārī tap-e-ġham meñ shiddat
zor har ek maraz kā hai ghaTā tīsre din
dast-o-pā surḳh kiyā kījiye mere ḳhuun se
uḌne lagtā hai sadā rang sadā tīsre din
ishq kā jin hī na lekin mire sar se utrā
roz chāTā kabhī ta.avīz piyā tīsre din
lillāh al-hamd vo aaya hai so.em meñ mere
mere mātam meñ vo shāmil to huā tīsre din
'sabr' hangām-e-talab shart hai niyyat meñ ḳhulūs
jā.egī bāb-e-ijābat pe duā tīsre din
is liye milta hai wo mah-e-laqa tisre din
ruKH badalti hai zamane ki hawa tisre din
nusKHe par nusKHe badal kar mujhe kahte hain tabib
apni tasir dikhati hai dawa tisre din
baad do roz ke hai apna lahu mujh ko mubah
faqa-kash ko hua murdar rawa tisre din
aaKHirash roz hai kyon marg-e-adu ka matam
sog ko dete hain duniya mein baDha tisre din
ai gham-e-yar mere dil mein Thikana kab tak
sahab-e-KHana ko mehman hai bala tisre din
jang ke baad agar sulh na ho sad-afsos
chahiye qalb-e-mukaddar ho safa tisre din
rahi har lahza hamari tap-e-gham mein shiddat
zor har ek maraz ka hai ghaTa tisre din
dast-o-pa surKH kiya kijiye mere KHun se
uDne lagta hai sada rang sada tisre din
ishq ka jin hi na lekin mere sar se utra
roz chaTa kabhi tawiz piya tisre din
lillah al-hamd wo aaya hai soem mein mere
mere matam mein wo shamil to hua tisre din
'sabr' hangam-e-talab shart hai niyyat mein KHulus
jaegi bab-e-ijabat pe dua tisre din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.