is liye shahr se logon ne nikala mujhko
is liye shahr se logoñ ne nikālā mujh ko
mil gayā thā mirā ik jānñe vaalā mujh ko
shukr allāh kā maiñ sābit-o-sālim niklā
āzmā.ish meñ to hālāt ne Daalā mujh ko
in dinoñ tez bahut charche haiñ mahrūmoñ ke
kuchh nazar aatā hai is daal meñ kaalā mujh ko
darj kar letā huuñ har din ke bahāne tere
kis tarah kaun sī tārīḳh meñ Taalā mujh ko
har taraf mujh se ta'alluq kā Dh.inDhorā piiTā
tum ne shohrat ke liye apnī uchhālā mujh ko
har guzartā huā din 'umr ghaTā detā hai
is haqīqat ne kahāñ fikr meñ Daalā mujh ko
is qadar saath añdheroñ ne diyā 'nazr' mirā
kāTne dauḌtā hai din kā ujālā mujh ko
is liye shahr se logon ne nikala mujh ko
mil gaya tha mera ek jaanne wala mujh ko
shukr allah ka main sabit-o-salim nikla
aazmaish mein to haalat ne Dala mujh ko
in dinon tez bahut charche hain mahrumon ke
kuchh nazar aata hai is dal mein kala mujh ko
darj kar leta hun har din ke bahane tere
kis tarah kaun si tariKH mein Tala mujh ko
har taraf mujh se ta'alluq ka DhinDhora piTa
tum ne shohrat ke liye apni uchhaala mujh ko
har guzarta hua din 'umr ghaTa deta hai
is haqiqat ne kahan fikr mein Dala mujh ko
is qadar sath andheron ne diya 'nazr' mera
kaTne dauDta hai din ka ujala mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.