is liye taish aa gaya tha mujhe
is liye taish aa gayā thā mujhe
vo hañsī meñ uḌā gayā thā mujhe
tab ye kāġhaz vaġhaira hote na the
pattharoñ par likhā gayā thā mujhe
is jagah Thiik se zarā dekho
vo yahīñ par chhupā gayā thā mujhe
mujh ko is baat par hañsī aa.ī
duniyā jaisā kahā gayā thā mujhe
raat maiñ us pe thoḌā ġhussa huā
aur phir pyaar aa gayā thā mujhe
asl meñ us taraf bulandī thī
jis taraf tū girā gayā thā mujhe
jaane phir kyā banā kahānī kā
azhdahā ek khā gayā thā mujhe
is liye taish aa gaya tha mujhe
wo hansi mein uDa gaya tha mujhe
tab ye kaghaz waghaira hote na the
pattharon par likha gaya tha mujhe
is jagah Thik se zara dekho
wo yahin par chhupa gaya tha mujhe
mujh ko is baat par hansi aai
duniya jaisa kaha gaya tha mujhe
raat main us pe thoDa ghussa hua
aur phir pyar aa gaya tha mujhe
asl mein us taraf bulandi thi
jis taraf tu gira gaya tha mujhe
jaane phir kya bana kahani ka
azhdaha ek kha gaya tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.