is liye tez bhagta hun main
is liye tez bhāgtā huuñ maiñ
apne pīchhe paḌā huā huuñ maiñ
ghup añdhere meñ raushnī kī tarah
us kī āñkhoñ se gir rahā huuñ maiñ
mujh ko ġham to nahīñ judā.ī kā
ye muravvat meñ ro rahā huuñ maiñ
yaad karnā bhī us ko chhoḌ diyā
āḳhirī chaal chal chukā huuñ maiñ
merī bāteñ mazāq meñ mat le
zindagī tujh se kuchh baḌā huuñ maiñ
mujh se vo sulh karne vaalā thā
aur nārāz ho gayā huuñ maiñ
dasht is baat par bahut ḳhush hai
us ke hisse meñ aa gayā huuñ maiñ
bāteñ hone lagī haiñ mere ḳhilāf
ya.anī mahfil se jā chukā huuñ maiñ
is liye tez bhagta hun main
apne pichhe paDa hua hun main
ghup andhere mein raushni ki tarah
us ki aankhon se gir raha hun main
mujh ko gham to nahin judai ka
ye murawwat mein ro raha hun main
yaad karna bhi us ko chhoD diya
aaKHiri chaal chal chuka hun main
meri baaten mazaq mein mat le
zindagi tujh se kuchh baDa hun main
mujh se wo sulh karne wala tha
aur naraaz ho gaya hun main
dasht is baat par bahut KHush hai
us ke hisse mein aa gaya hun main
baaten hone lagi hain mere KHilaf
yani mahfil se ja chuka hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.