is mausam ke phal kaDwe hain phulon mein bhi rang nahin
is mausam ke phal kaDwe hain phulon mein bhi rang nahin
Mahmood Sarosh
MORE BYMahmood Sarosh
is mausam ke phal kaḌve haiñ phūloñ meñ bhī rañg nahīñ
taa.ir haiñ muhtāj-e-nasheman naġhmoñ meñ āhañg nahīñ
us ke fitnoñ kī sarkūbī sulh se pahle vājib hai
ġhair kī paidā karda shorish hai aapas kī jañg nahīñ
teġhoñ kī jhankār meñ bhī ik vajd-āvar kaifiyat hai
ruuh ko jaulāñ karne vaale sirf rabāb-o-chañg nahīñ
fā.eda is meñ jo ho kisī kā apnā ḳhuun sajal kar deñ
jaan churā.eñ marne se ham aise bhī dil tañg nahīñ
ahl-e-junūñ ke sab dushman haiñ dīvānoñ se kah dījiye
un se bhī hoshyār raheñ vo jin hāthoñ meñ sañg nahīñ
is mausam ke phal kaDwe hain phulon mein bhi rang nahin
tair hain muhtaj-e-nasheman naghmon mein aahang nahin
us ke fitnon ki sarkubi sulh se pahle wajib hai
ghair ki paida karda shorish hai aapas ki jang nahin
teghon ki jhankar mein bhi ek wajd-awar kaifiyat hai
ruh ko jaulan karne wale sirf rabab-o-chang nahin
faeda is mein jo ho kisi ka apna KHun sajal kar den
jaan churaen marne se hum aise bhi dil tang nahin
ahl-e-junun ke sab dushman hain diwanon se kah dijiye
un se bhi hoshyar rahen wo jin hathon mein sang nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.