is mohabbat mein kuchh maza bhi nahin
is mohabbat meñ kuchh mazā bhī nahīñ
jis meñ ranjish nahīñ balā bhī nahīñ
chal diye kyā jahāñ se ahl-e-vafā
aaj un kā kahīñ patā bhī nahīñ
aisā insān bhī ġhanīmat hai
jo bhalā bhī nahīñ burā bhī nahīñ
mujh se mil kar vo chal diye chup-chāp
kuchh kahā bhī nahīñ sunā bhī nahīñ
ai gulo muskurā.e jaate ho
tum ko ḳhauf-e-ḳhizāñ zarā bhī nahīñ
jis ne duniyā meñ dauḌ-dhūp na kī
us ko duniyā se kuchh milā bhī nahīñ
apnī apnī lagī hai sab ko yahāñ
ek ko ek pūchhtā bhī nahīñ
is mohabbat mein kuchh maza bhi nahin
jis mein ranjish nahin bala bhi nahin
chal diye kya jahan se ahl-e-wafa
aaj un ka kahin pata bhi nahin
aisa insan bhi ghanimat hai
jo bhala bhi nahin bura bhi nahin
mujh se mil kar wo chal diye chup-chap
kuchh kaha bhi nahin suna bhi nahin
ai gulo muskurae jate ho
tum ko KHauf-e-KHizan zara bhi nahin
jis ne duniya mein dauD-dhup na ki
us ko duniya se kuchh mila bhi nahin
apni apni lagi hai sab ko yahan
ek ko ek puchhta bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.