is musibat se nikalne ka wasila kar de
is musībat se nikalne kā vasīla kar de
kho gayā hai jo mirā mujh ko vahī lā kar de
ab maiñ kaise tujhe samjhā.ūñ ki uljhan kyā hai
khol de saañs kī girheñ mujhe Dhīlā kar de
kyā pata kaun sā rang oḌh ke aa jaa.e bahār
aur tirā haath mire sāmne piilā kar de
ek chuTkī ki tirī naaf meñ paḌ jaa.eñ bhañvar
ek bosa ki tire gaal ko giilā kar de
ruuh kī aañch baḌhā tez kar ehsās kī lau
jism ko 'ishq-o-mohabbat kā patīlā kar de
isti'āra koī mil jaa.e mujhe Thos aisā
jo tire husn kā mazmūn lachīlā kar de
is musibat se nikalne ka wasila kar de
kho gaya hai jo mera mujh ko wahi la kar de
ab main kaise tujhe samjhaun ki uljhan kya hai
khol de sans ki girhen mujhe Dhila kar de
kya pata kaun sa rang oDh ke aa jae bahaar
aur tera hath mere samne pila kar de
ek chuTki ki teri naf mein paD jaen bhanwar
ek bosa ki tere gal ko gila kar de
ruh ki aanch baDha tez kar ehsas ki lau
jism ko 'ishq-o-mohabbat ka patila kar de
isti'ara koi mil jae mujhe Thos aisa
jo tere husn ka mazmun lachila kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.