is nae ghar mein bhi har chiz purani kyon hai
is nae ghar mein bhi har chiz purani kyon hai
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
is na.e ghar meñ bhī har chiiz purānī kyoñ hai
gar ye sūrat hai to phir naql-e-makānī kyoñ hai
koī ḳhūbī bhī nahīñ naqs bhī lākhoñ mujh meñ
tū mire ishq meñ is darja divānī kyoñ hai
hijr kī baat karo mujh se kabhī ḳhalvat meñ
phir ye socho ki mirī aañkh meñ paanī kyoñ hai
lucknow shahr mirā shahd sā lahja samjhūñ
aap ke shahr meñ ye talḳh-zabānī kyoñ hai
jañg hai jahl se 'afrañg' qalam hī kaafī
kyā zarūrat hai ki shamshīr uThānī kyoñ hai
is nae ghar mein bhi har chiz purani kyon hai
gar ye surat hai to phir naql-e-makani kyon hai
koi KHubi bhi nahin naqs bhi lakhon mujh mein
tu mere ishq mein is darja diwani kyon hai
hijr ki baat karo mujh se kabhi KHalwat mein
phir ye socho ki meri aankh mein pani kyon hai
lucknow shahr mera shahd sa lahja samjhun
aap ke shahr mein ye talKH-zabani kyon hai
jang hai jahl se 'afrang' qalam hi kafi
kya zarurat hai ki shamshir uThani kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.