is nae sal ki aamad pe main kya dun tujhko
is na.e saal kī aamad pe maiñ kyā duuñ tujh ko
mere dāman meñ duā.eñ haiñ duā duuñ tujh ko
sāl-e-rafta meñ tujhe chāhā bahut yaad kiyā
dil ye kahtā hai ki is saal bhulā duuñ tujh ko
tū ne chāhā hai use jis ko tirī qadr nahīñ
dil-e-nādān batā kaisī sazā duuñ tujh ko
tū ki har vaqt rahā ham se ḳhafā phir bhī 'ḳhalīl'
dil pe likkhā hai tirā naam dikhā duuñ tujh ko
is nae sal ki aamad pe main kya dun tujh ko
mere daman mein duaen hain dua dun tujh ko
sal-e-rafta mein tujhe chaha bahut yaad kiya
dil ye kahta hai ki is sal bhula dun tujh ko
tu ne chaha hai use jis ko teri qadr nahin
dil-e-nadan bata kaisi saza dun tujh ko
tu ki har waqt raha hum se KHafa phir bhi 'KHalil'
dil pe likkha hai tera nam dikha dun tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.