usne dil se nikal rakkha hai
us ne dil se nikāl rakkhā hai
kis musībat meñ Daal rakkhā hai
ġhaur se dekh us kī āñkhoñ meñ
raushnī kā kamāl rakkhā hai
us se hotī nahīñ mulāqāteñ
us ne va.adoñ pe Taal rakkhā hai
mere āñgan meñ kyā ḳhushī aa.e
sāmne ġham kā jaal rakkhā hai
vo hameñ pūchhne nahīñ aatā
ham ne jis ko sambhāl rakkhā hai
us kī ham is adā pe haiñ qurbān
rābta to bahāl rakkhā hai
ye kisī taur khul nahīñ paatā
kis ne kis kā ḳhayāl rakkhā hai
is kudūrat se mujh ko miltā hai
jaise shīshe meñ baal rakkhā hai
jis kā apnā nahīñ javāb koī
us ke aage savāl rakkhā hai
ai 'payām' us kī bhī ḳhabar le lo
kar ke jis ne niDhāl rakkhā hai
us ne dil se nikal rakkha hai
kis musibat mein Dal rakkha hai
ghaur se dekh us ki aankhon mein
raushni ka kamal rakkha hai
us se hoti nahin mulaqaten
us ne wadon pe Tal rakkha hai
mere aangan mein kya KHushi aae
samne gham ka jal rakkha hai
wo hamein puchhne nahin aata
hum ne jis ko sambhaal rakkha hai
us ki hum is ada pe hain qurban
rabta to bahaal rakkha hai
ye kisi taur khul nahin pata
kis ne kis ka KHayal rakkha hai
is kudurat se mujh ko milta hai
jaise shishe mein baal rakkha hai
jis ka apna nahin jawab koi
us ke aage sawal rakkha hai
ai 'payam' us ki bhi KHabar le lo
kar ke jis ne niDhaal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.