is numaish-gah mein kab tak hawas-kari karun
is numā.ish-gāh meñ kab tak havas-kārī karūñ
koī tohfa le ke ghar chalne kī tayyārī karūñ
sikka-e-jā'lī ko apnī āstīñ hī meñ rakhūñ
raah ke andhe bhikārī se na 'ayyārī karūñ
jāhiloñ ke shahr meñ sab se baḌā jāhil huuñ maiñ
kyoñ na apne naam kā sikka yahāñ jaarī karūñ
sāhibān-e-shahr meñ itnī jasārat bhī kahāñ
ye bhī nekī hai jo iqrār-e-gunahgārī karūñ
jism us kī god meñ ho ruuh tere rū-barū
fāhisha ke garm bistar par riyā-kārī karūñ
yā-ḳhudā vo zindagī kī āḳhirī hī raat ho
koī majbūrī na ho aur ḳhud se ġhaddārī karūñ
is numaish-gah mein kab tak hawas-kari karun
koi tohfa le ke ghar chalne ki tayyari karun
sikka-e-ja'li ko apni aastin hi mein rakhun
rah ke andhe bhikari se na 'ayyari karun
jahilon ke shahr mein sab se baDa jahil hun main
kyon na apne nam ka sikka yahan jari karun
sahiban-e-shahr mein itni jasarat bhi kahan
ye bhi neki hai jo iqrar-e-gunahgari karun
jism us ki god mein ho ruh tere ru-baru
fahisha ke garm bistar par riya-kari karun
ya-KHuda wo zindagi ki aaKHiri hi raat ho
koi majburi na ho aur KHud se ghaddari karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.