is par main hun jhil ke us par aap hain
is paar maiñ huuñ jhiil ke us paar aap haiñ
lahroñ ke ā.inoñ meñ lagātār aap haiñ
ai kaash vo ye pūchheñ tumheñ kyā pasand hai
be-sāḳhta maiñ kah paḌūñ sarkār aap haiñ
us kī ḳhamoshiyoñ kī balāġhat na pūchhiye
jis ke lab-e-ḳhamosh kā iz.hār aap haiñ
ab ehtirām karne lage merā saare ġham
kis ne batā diyā mire ġham-ḳhvār aap haiñ
kaliyoñ ke lab pe sajtī hai muskān aap kī
har mausam-e-bahār kā singār aap haiñ
is par main hun jhil ke us par aap hain
lahron ke aainon mein lagatar aap hain
ai kash wo ye puchhen tumhein kya pasand hai
be-saKHta main kah paDun sarkar aap hain
us ki KHamoshiyon ki balaghat na puchhiye
jis ke lab-e-KHamosh ka izhaar aap hain
ab ehtiram karne lage mera sare gham
kis ne bata diya mere gham-KHwar aap hain
kaliyon ke lab pe sajti hai muskan aap ki
har mausam-e-bahaar ka singar aap hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.