is qadar aam na kar anjuman-arai ko
is qadar aam na kar anjuman-ārā.ī ko
ham taras jaa.eñ mazāq-e-ġham-e-tanhā.ī ko
āzmāyā jo kabhī us ne shakebā.ī ko
manzileñ DhūñDne niklīñ tire saudā.ī ko
sun ke rūdād-e-shab-e-hijr jo kī nīchī nazar
chaar chāñd aur lage husn kī ra.anā.ī ko
sarmadī kaif faqat ishq ke āġhāz meñ hai
koī matlab nahīñ anjām se saudā.ī ko
ab aziyyat meñ kamī aa ga.ī ai daur-e-falak
tuul kuchh aur jahān-e-shab-e-tanhā.ī ko
tū ne sayyād asīroñ ke faqat hoñT siiye
salb āñkhoñ se bhī kar quvvat-e-goyā.ī ko
ḳhalish-e-zulmat-e-anjām use kyā hogī
shab-e-tanhā.ī jo samjhe shab-e-tanhā.ī ko
is qadar aam na kar anjuman-arai ko
hum taras jaen mazaq-e-gham-e-tanhai ko
aazmaya jo kabhi us ne shakebai ko
manzilen DhunDne niklin tere saudai ko
sun ke rudad-e-shab-e-hijr jo ki nichi nazar
chaar chand aur lage husn ki ranai ko
sarmadi kaif faqat ishq ke aaghaz mein hai
koi matlab nahin anjam se saudai ko
ab aziyyat mein kami aa gai ai daur-e-falak
tul kuchh aur jahan-e-shab-e-tanhai ko
tu ne sayyaad asiron ke faqat honT siye
salb aankhon se bhi kar quwwat-e-goyai ko
KHalish-e-zulmat-e-anjam use kya hogi
shab-e-tanhai jo samjhe shab-e-tanhai ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.