is qadar baDh gai adam-bardasht
is qadar baḌh ga.ī adam-bardāsht
ḳhud ko bhī ab nahīñ haiñ ham bardāsht
ham ne bardāsht jaise kī duniyā
ahl-e-duniyā kareñge kam bardāsht
muskurā kar hameñ pilā to sahī
muskurā kar kareñge sam bardāsht
karte ho is liye sitam shāyad
ham se hogā nahīñ karam bardāsht
ek ḳhāliq ko mānñe vaale
kis tarah kar ga.e sanam bardāsht
jin ko patthar uThā nahīñ paa.e
kar liye ham ne vo bhī ġham bardāsht
vo jo ḳhanjar-qubūl siine the
un se hotā nahīñ qalam bardāsht
is qadar baDh gai adam-bardasht
KHud ko bhi ab nahin hain hum bardasht
hum ne bardasht jaise ki duniya
ahl-e-duniya karenge kam bardasht
muskura kar hamein pila to sahi
muskura kar karenge sam bardasht
karte ho is liye sitam shayad
hum se hoga nahin karam bardasht
ek KHaliq ko manne wale
kis tarah kar gae sanam bardasht
jin ko patthar uTha nahin pae
kar liye hum ne wo bhi gham bardasht
wo jo KHanjar-qubul sine the
un se hota nahin qalam bardasht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.