is qadar bhi to koi apna bana le mujhko
is qadar bhi to koi apna bana le mujhko
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
is qadar bhī to koī apnā banā le mujh ko
apne hāthoñ se khilā de do nivāle mujh ko
jab mujhe maut hī denī hai to de de maulā
der kis baat kī ab aa nā uThā le mujh ko
tere hāthoñ ki mujhe mehñdī nahīñ banñā hai
in lakīroñ sā samajh ke tū sajā le mujh ko
thoḌī jaldī hai tujhe dekhne kī zid bhī hai
kyā pata maut kabhī aa.e manā le mujh ko
is qadar bhi to koi apna bana le mujh ko
apne hathon se khila de do niwale mujh ko
jab mujhe maut hi deni hai to de de maula
der kis baat ki ab aa na uTha le mujh ko
tere hathon ki mujhe mehndi nahin banna hai
in lakiron sa samajh ke tu saja le mujh ko
thoDi jaldi hai tujhe dekhne ki zid bhi hai
kya pata maut kabhi aae mana le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.