is qadar dur samajhne lage wo dil se mujhe
is qadar duur samajhne lage vo dil se mujhe
maut kyā niiñd bhī ab aa.egī mushkil se mujhe
dī hayāt-e-abadī us ne gale se mil kar
mil ga.ī dād-e-vafā ḳhanjar-e-qātil se mujhe
de chuke ġhair ko dil un se kuchh ummīd nahīñ
apne pahlū meñ jagah deñge vo kis dil se mujhe
dil-e-betāb sañbhāle se sañbhaltā hī nahīñ
ye nikalvā ke rahegā tirī mahfil se mujhe
le ga.e aaj ye kah kar vo mire pahlū se
hai mohabbat bahut armān-bhare dil se mujhe
shikve kartā huuñ taġhāful ke to kahtā hai koī
baat hī kyā hai bhulā dījiye ab dil se mujhe
is tarah fikr-e-suḳhan ne mujhe khoyā 'safdar'
maut bhī DhūñDhe to ab pā.egī mushkil se mujhe
is qadar dur samajhne lage wo dil se mujhe
maut kya nind bhi ab aaegi mushkil se mujhe
di hayat-e-abadi us ne gale se mil kar
mil gai dad-e-wafa KHanjar-e-qatil se mujhe
de chuke ghair ko dil un se kuchh ummid nahin
apne pahlu mein jagah denge wo kis dil se mujhe
dil-e-betab sanbhaale se sanbhalta hi nahin
ye nikalwa ke rahega teri mahfil se mujhe
le gae aaj ye kah kar wo mere pahlu se
hai mohabbat bahut arman-bhare dil se mujhe
shikwe karta hun taghaful ke to kahta hai koi
baat hi kya hai bhula dijiye ab dil se mujhe
is tarah fikr-e-suKHan ne mujhe khoya 'safdar'
maut bhi DhunDhe to ab paegi mushkil se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.