is qadar gharq lahu mein ye dil-e-zar na tha
is qadar gharq lahu mein ye dil-e-zar na tha
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
is qadar ġharq lahū meñ ye dil-e-zār na thā
jab hinā se tire paañv ko sarokār na thā
husn kā jazb zuleḳhā satī kuchh chal na sakā
varna ye paak guhar qābil-e-bāzār na thā
dil meñ zāhid ke jo jannat kī havā kī hai havas
kūcha-e-yār meñ kyā sāya-e-dīvār na thā
dil mirā ishq ke dhaḌkoñ se muā jaatā hai
ye vo dil hai ki koī aisā jigar-dār na thā
aap se kyuuñ na huā kah ke 'yaqīñ' ko maarā
raast pūchho to koī mujh sā gunahgār na thā
is qadar gharq lahu mein ye dil-e-zar na tha
jab hina se tere panw ko sarokar na tha
husn ka jazb zuleKHa sati kuchh chal na saka
warna ye pak guhar qabil-e-bazar na tha
dil mein zahid ke jo jannat ki hawa ki hai hawas
kucha-e-yar mein kya saya-e-diwar na tha
dil mera ishq ke dhaDkon se mua jata hai
ye wo dil hai ki koi aisa jigar-dar na tha
aap se kyun na hua kah ke 'yaqin' ko mara
rast puchho to koi mujh sa gunahgar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.