is qadar ghaur se na sun felun
is qadar ġhaur se na sun felun
bahr TuuTī huī hai chun felun
gar arūzī zabān sīkhnī hai
phir to kahnā paḌegā kun felun
ham ne us ko kiyā hai isti.māl
kyoñ na gaaye hamāre gun felun
lafz hotā hai har ġhazal kī aañkh
ḳhvāb ke saath us meñ bun felun
zindagī aisī bahr hai jaise
fā.elātun mafā.elun felun
hai agar shā.irī koī naġhma
dosto phir hai us kī dhun felun
pī ġhazal kī sharāb donoñ ne
hai mire saath saath Tun felun
is qadar ghaur se na sun felun
bahr TuTi hui hai chun felun
gar aruzi zaban sikhni hai
phir to kahna paDega kun felun
hum ne us ko kiya hai istimal
kyon na gaye hamare gun felun
lafz hota hai har ghazal ki aankh
KHwab ke sath us mein bun felun
zindagi aisi bahr hai jaise
faelatun mafaelun felun
hai agar shairi koi naghma
dosto phir hai us ki dhun felun
pi ghazal ki sharab donon ne
hai mere sath sath Tun felun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.