Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar hum na-tawan-o-zar hain

Khwaja Mohammad Wazir

is qadar hum na-tawan-o-zar hain

Khwaja Mohammad Wazir

MORE BYKhwaja Mohammad Wazir

    is qadar ham nā-tavān-o-zār haiñ

    baazū apne machhliyoñ ke ḳhaar haiñ

    chaak chaak apnā garebāñ ho chukā

    in dinoñ dast-e-junūñ bekār haiñ

    rote haiñ ashkoñ ke badle ḳhuun gar

    abr haiñ ham lekin ātish-bār haiñ

    jaate haiñ gulshan se le o bāġhbāñ

    ham agar terī nazar meñ ḳhaar haiñ

    āstīñ se pochhiye kaahe ko ashk

    ab to muñh par zaḳhm dāmn-dār haiñ

    dekh kar tujh ko magar hairāñ hue

    aa.ine jo pusht-bar-dīvār haiñ

    le uḌ ai vahshat ki apnī paañv ke

    muntazir ḳhār-e-sar-e-dīvār haiñ

    āñkheñ haiñ ḳhuñḳhār terī ai masīh

    kyā hai be-parhez ye bīmār haiñ

    ḳhud-baḳhud apnā janāza hai ravāñ

    ham ye kis ke kushta-e-raftār haiñ

    sāya-e-ḳhanjar meñ aayā ḳhvāb-e-marg

    vaah kyā tāle.a mire bedār haiñ

    ham haiñ ranjūr apne ashk-o-āh se

    hai burī āb-o-havā bīmār haiñ

    ab to hai meñh barasnā apne haath

    āstīneñ abr-e-dariyā-bār haiñ

    sarv-o-shamsād-o-sanobar baaġh meñ

    naqsha-hā-e-qāmat-e-dildār haiñ

    kaun hai bezār in rozoñ 'vazīr'

    ham jo apne ziist se bezār haiñ

    is qadar hum na-tawan-o-zar hain

    bazu apne machhliyon ke KHar hain

    chaak chaak apna gareban ho chuka

    in dinon dast-e-junun bekar hain

    rote hain ashkon ke badle KHun gar

    abr hain hum lekin aatish-bar hain

    jate hain gulshan se le o baghban

    hum agar teri nazar mein KHar hain

    aastin se pochhiye kahe ko ashk

    ab to munh par zaKHm damn-dar hain

    dekh kar tujh ko magar hairan hue

    aaine jo pusht-bar-diwar hain

    le uD ai wahshat ki apni panw ke

    muntazir KHar-e-sar-e-diwar hain

    aankhen hain KHunKHar teri ai masih

    kya hai be-parhez ye bimar hain

    KHud-baKHud apna janaza hai rawan

    hum ye kis ke kushta-e-raftar hain

    saya-e-KHanjar mein aaya KHwab-e-marg

    wah kya talea mere bedar hain

    hum hain ranjur apne ashk-o-ah se

    hai buri aab-o-hawa bimar hain

    ab to hai meinh ka barasna apne hath

    aastinen abr-e-dariya-bar hain

    sarw-o-shamsad-o-sanobar bagh mein

    naqsha-ha-e-qamat-e-dildar hain

    kaun hai bezar in rozon 'wazir'

    hum jo apne zist se bezar hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now