is qadar mashghul the ek ru-e-taban ki taraf
is qadar mashġhūl the ik rū-e-tābāñ kī taraf
ham ne dekhā hī nahīñ is chāk-e-dāmāñ kī taraf
jab muqaddar meñ añdherā likh diyā tū ne ḳhudā
kaun dekhegā batā sham-e-farozāñ kī taraf
ham bhī terī hī mohabbat meñ yahāñ tak aa.e haiñ
aur terī sab tavajjoh ek mehmāñ kī taraf
phir huā yuuñ ham ne us se pher lī nazreñ tamām
kab talak ham dekhte us āfat-e-jāñ kī taraf
un kī har ik baat kā aisā asar mujh par huā
ruk ga.iiñ nazreñ mirī shahr-e-nigārāñ kī taraf
is qadar mashghul the ek ru-e-taban ki taraf
hum ne dekha hi nahin is chaak-e-daman ki taraf
jab muqaddar mein andhera likh diya tu ne KHuda
kaun dekhega bata sham-e-farozan ki taraf
hum bhi teri hi mohabbat mein yahan tak aae hain
aur teri sab tawajjoh ek mehman ki taraf
phir hua yun hum ne us se pher li nazren tamam
kab talak hum dekhte us aafat-e-jaan ki taraf
un ki har ek baat ka aisa asar mujh par hua
ruk gain nazren meri shahr-e-nigaran ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.