is qadar ruswaiyon ki garm-bazari na thi
is qadar rusvā.iyoñ kī garm-bāzārī na thī
thī anā paspā magar aisī bhī paspā.ī na thī
thī magar mahrūmiyoñ kī ye farāvānī na thī
aarzū kī kachchī kaliyoñ kī ye pāmālī na thī
maiñ bhī āġhāz-e-safar meñ tum se kuchh kam ḳhush na thā
ye hai anjām-e-safar mujh ko bhī āgāhī na thī
thī abhī merī palak jhapke pe dekhā aur kī
zindagī kal bhī thī lekin itnī harjā.ī na thī
tap rahā thā kis qadar pūchho na barfīlā badan
aag ke andar bhī shāyad aisī chingārī na thī
dil se āñkhoñ tak vahī be-manzarī kā silsila
laal piile kī hare kī garche nāyābī na thī
band kamra pur-sukūñ māhaul sākit bām-o-dar
is qadar shāyad hasīñ pahle ye tanhā.ī na thī
is qadar ruswaiyon ki garm-bazari na thi
thi ana paspa magar aisi bhi paspai na thi
thi magar mahrumiyon ki ye farawani na thi
aarzu ki kachchi kaliyon ki ye pamali na thi
main bhi aaghaz-e-safar mein tum se kuchh kam KHush na tha
ye hai anjam-e-safar mujh ko bhi aagahi na thi
thi abhi meri palak jhapke pe dekha aur ki
zindagi kal bhi thi lekin itni harjai na thi
tap raha tha kis qadar puchho na barfila badan
aag ke andar bhi shayad aisi chingari na thi
dil se aankhon tak wahi be-manzari ka silsila
lal pile ki hare ki garche nayabi na thi
band kamra pur-sukun mahaul sakit baam-o-dar
is qadar shayad hasin pahle ye tanhai na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.