is qadar sachchai se bezar duniya ho gai
is qadar sachchā.ī se bezār duniyā ho ga.ī
zad pe gardan hai mirī, talvār duniyā ho ga.ī
us ke dil meñ niim golī, shahd bātoñ meñ rakhe
pūchhte kyā ho miyāñ! makkār duniyā ho ga.ī
be-hayā.ī bevafā.ī be-yaqīnī be-hisī
kaise kaise ḳhanjaroñ kī dhaar duniyā ho ga.ī
maslahat ne kis qadar tabdīl us ko kar diyā
ġhair maiñ huuñ in dinoñ ġham-ḳhvār duniyā ho ga.ī
kyā samajhte ho yaqīñ kar legī tum kuchh bhī kaho
soch kar denā bayāñ hoshyār duniyā ho ga.ī
kyā sahāfī kyā muarriḳh kaise aalim kyā adiib
dekhte hī dekhte bāzār duniyā ho ga.ī
haar kar jis ne kiyā hai us se samjhautā 'farāz'
haañ usī ke vāste hamvār duniyā ho ga.ī
is qadar sachchai se bezar duniya ho gai
zad pe gardan hai miri, talwar duniya ho gai
us ke dil mein nim goli, shahd baaton mein rakhe
puchhte kya ho miyan! makkar duniya ho gai
be-hayai bewafai be-yaqini be-hisi
kaise kaise KHanjaron ki dhaar duniya ho gai
maslahat ne kis qadar tabdil us ko kar diya
ghair main hun in dinon gham-KHwar duniya ho gai
kya samajhte ho yaqin kar legi tum kuchh bhi kaho
soch kar dena bayan hoshyar duniya ho gai
kya sahafi kya muarriKH kaise aalim kya adib
dekhte hi dekhte bazar duniya ho gai
haar kar jis ne kiya hai us se samjhauta 'faraaz'
han usi ke waste hamwar duniya ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.