is qadar taDpunga tere hijr mein socha na tha
is qadar taḌpūñgā tere hijr meñ sochā na thā
aur mujhe ye lag rahā thā tujh pe dil aayā na thā
apne zaḳhmoñ ko kuredā hai baḌe hī shauq se
zaḳhm kā bharnā hamāre vāste achchhā na thā
haañ maiñ tere hijr meñ taḌpā huuñ lekin ye bhī sun
shā.irī karne lagūñ maiñ itnā bhī ujḌā na thā
aur phir ik din mujhe ḳhud ko rulānā paḌ gayā
dard jitnā bhī thā chehre par kabhī dikhtā na thā
is qadar taDpunga tere hijr mein socha na tha
aur mujhe ye lag raha tha tujh pe dil aaya na tha
apne zaKHmon ko kureda hai baDe hi shauq se
zaKHm ka bharna hamare waste achchha na tha
han main tere hijr mein taDpa hun lekin ye bhi sun
shairi karne lagun main itna bhi ujDa na tha
aur phir ek din mujhe KHud ko rulana paD gaya
dard jitna bhi tha chehre par kabhi dikhta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.