is qadar zehn mein ab wahime paD jate hain
is qadar zehn meñ ab vāhime paḌ jaate haiñ
log milte bhī nahīñ haiñ ki bichhaḌ jaate haiñ
aap dastār bachā pāoge kaise apnī
tez āñdhī meñ ghane peḌ bhī jhaḌ jaate haiñ
hausle kī tumheñ tāqat kā nahīñ andāza
paañv sheroñ ke bhī maidāñ se ukhaḌ jaate haiñ
maiñ ne dekhe ka.ī hālāt se haare hue log
apnī hī qabr banā lete haiñ gaḌ jaate haiñ
is qadar zehn mein ab wahime paD jate hain
log milte bhi nahin hain ki bichhaD jate hain
aap dastar bacha paoge kaise apni
tez aandhi mein ghane peD bhi jhaD jate hain
hausle ki tumhein taqat ka nahin andaza
panw sheron ke bhi maidan se ukhaD jate hain
main ne dekhe kai haalat se haare hue log
apni hi qabr bana lete hain gaD jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.