is raaz ko kya jaanen sahil ke tamashai
is raaz ko kyā jāneñ sāhil ke tamāshā.ī
ham Duub ke samjhe haiñ dariyā tirī gahrā.ī
jaag ai mire ham-sāya ḳhvāboñ ke tasalsul se
dīvār se āñgan meñ ab dhuup utar aa.ī
chalte hue bādal ke saa.e ke ta.āqub meñ
ye tishna-labī mujh ko sahrāoñ meñ le aa.ī
ye jabr bhī dekhā hai tārīḳh kī nazroñ ne
lamhoñ ne ḳhatā kī thī sadiyoñ ne sazā paa.ī
kyā sāneha yaad aayā 'razmī' kī tabāhī kā
kyuuñ aap kī nāzuk sī āñkhoñ meñ namī aa.ī
is raaz ko kya jaanen sahil ke tamashai
hum Dub ke samjhe hain dariya teri gahrai
jag ai mere ham-saya KHwabon ke tasalsul se
diwar se aangan mein ab dhup utar aai
chalte hue baadal ke sae ke taaqub mein
ye tishna-labi mujh ko sahraon mein le aai
ye jabr bhi dekha hai tariKH ki nazron ne
lamhon ne KHata ki thi sadiyon ne saza pai
kya saneha yaad aaya 'razmi' ki tabahi ka
kyun aap ki nazuk si aankhon mein nami aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.