is rahguzar mein apna qadam bhi juda mila
is rahguzar meñ apnā qadam bhī judā milā
itnī sa.ūbatoñ kā hameñ ye sila milā
ik vus.at-e-ḳhayāl ki lafzoñ meñ ghir ga.ī
lahja kabhī jo ham ko karam-āshnā milā
tāroñ ko gardisheñ milīñ zarroñ ko tābisheñ
ai rah-navard rāh-e-junūñ tujh ko kyā milā
ham se baḌhī masāfat-e-dasht-e-vafā ki ham
ḳhud hī bhaTak ga.e jo kabhī rāsta milā
is rahguzar mein apna qadam bhi juda mila
itni saubaton ka hamein ye sila mila
ek wusat-e-KHayal ki lafzon mein ghir gai
lahja kabhi jo hum ko karam-ashna mila
taron ko gardishen milin zarron ko tabishen
ai rah-naward rah-e-junun tujh ko kya mila
hum se baDhi masafat-e-dasht-e-wafa ki hum
KHud hi bhaTak gae jo kabhi rasta mila
- Book : Sham ka Pahla Tara (Pg. 35)
- Author : ZEHRA NIGAAH
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.