is safai se meri baat ka pahlu kaTe
is safā.ī se mirī baat kā pahlū kaaTe
rasta ḳhushbū ke liye jis tarah ḳhushbū kaaTe
ilm hogā shab-e-hijrāñ kī tavālat kā tujhe
merī mānind jo ik raat kabhī tū kaaTe
ba.ad meñ aa.e sabhī mujh se baġhal-gīrī ko
mil ke ahbāb ne pahle mire baazū kaaTe
sīna-e-shab pe ziyāoñ kī darāḌeñ ubhrīñ
tīsha-e-azm se yuuñ raah ko jugnū kaaTe
zahr-e-māhaul se pur hai mire tan kā kaasa
kyoñ na mar jaa.e vahīñ mujh ko jo bichchhū kaaTe
un ke saa.e meñ raqīb aa ke mabādā baiTheñ
sab ke sab us ne shajar the jo lab-e-jū kaaTe
apne zaḳhmoñ ko ye sahlā.egī mahshar tak 'jān'
din tan-e-zīst meñ yuuñ ho ke tarāzū kaaTe
is safai se meri baat ka pahlu kaTe
rasta KHushbu ke liye jis tarah KHushbu kaTe
ilm hoga shab-e-hijran ki tawalat ka tujhe
meri manind jo ek raat kabhi tu kaTe
baad mein aae sabhi mujh se baghal-giri ko
mil ke ahbab ne pahle mere bazu kaTe
sina-e-shab pe ziyaon ki daraDen ubhrin
tisha-e-azm se yun rah ko jugnu kaTe
zahr-e-mahaul se pur hai mere tan ka kasa
kyon na mar jae wahin mujh ko jo bichchhu kaTe
un ke sae mein raqib aa ke mabaada baiThen
sab ke sab us ne shajar the jo lab-e-ju kaTe
apne zaKHmon ko ye sahlaegi mahshar tak 'jaan'
din tan-e-zist mein yun ho ke taraazu kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.