is samundar mein sanbhal kar hi utarna warna
is samundar meñ sañbhal kar hī utarnā varna
ishq par sab hī kaheñge tujhe varna varna
dekhne kī to ijāzat hai magar dhyān rahe
us kī āñkhoñ meñ kisī ne na sañvarnā varna
quvvat-e-siql hai jo apnī taraf khīñchtī hai
kab bulandī se utartā bhalā jharnā varna
sirf kājal kī lakīreñ hī bhalī lagtī haiñ
us kī āñkhoñ meñ koī rang na bharnā varna
hai ijāzat ki sabhī zaḳhm bharo marham se
haañ magar dhyān ki ik zaḳhm na bharnā varna
hijr meñ zabt karo jitnā ho mumkin yā phir
TūTnā aise ki har samt bikharnā varna
ishq ik aag kā dariyā to hai sach hai lekin
koī diqqat ho to phir pul se guzarnā varna
is samundar mein sanbhal kar hi utarna warna
ishq par sab hi kahenge tujhe warna warna
dekhne ki to ijazat hai magar dhyan rahe
us ki aankhon mein kisi ne na sanwarna warna
quwwat-e-siql hai jo apni taraf khinchti hai
kab bulandi se utarta bhala jharna warna
sirf kajal ki lakiren hi bhali lagti hain
us ki aankhon mein koi rang na bharna warna
hai ijazat ki sabhi zaKHm bharo marham se
han magar dhyan ki ek zaKHm na bharna warna
hijr mein zabt karo jitna ho mumkin ya phir
TuTna aise ki har samt bikharna warna
ishq ek aag ka dariya to hai sach hai lekin
koi diqqat ho to phir pul se guzarna warna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.