is sarasimgi mein baat karen to kaise
is sarāsīmgī meñ baat kareñ to kaise
shahsavāroñ se musāvāt kareñ to kaise
ḳhauf se ḳhushk hue jaate haiñ lab-e-lālīñ
log iz.hār-e-ḳhayālāt kareñ to kaise
phir rahe tā.ir-e-majnūñ haiñ kū-ba-kū dar dar
ishq-e-sādiq kā vo isbāt kareñ to kaise
bad nahīñ garche vo badnām magar haiñ har sū
aisī sūrat meñ mulāqāt kareñ to kaise
har ghaḌī sochte rahte haiñ tahī-dast ki ham
misl-e-hātim-tā.ī ḳhairāt kareñ to kaise
aap hī apnā bad-andesh-o-mudda.ī ban kar
apnī hastī ko past-o-māt kareñ to kaise
ḳhair-andesh haiñ maanā ki shanāvar lekin
mauj-e-hastī se do do haath kareñ to kaise
ḳhurd bachchoñ kī tamannā hai ye 'abrār' ki bas
band muTThī meñ ye din raat kareñ to kaise
is sarasimgi mein baat karen to kaise
shahsawaron se musawat karen to kaise
KHauf se KHushk hue jate hain lab-e-lalin
log izhaar-e-KHayalat karen to kaise
phir rahe tair-e-majnun hain ku-ba-ku dar dar
ishq-e-sadiq ka wo isbaat karen to kaise
bad nahin garche wo badnam magar hain har su
aisi surat mein mulaqat karen to kaise
har ghaDi sochte rahte hain tahi-dast ki hum
misl-e-hatim-tai KHairaat karen to kaise
aap hi apna bad-andesh-o-muddai ban kar
apni hasti ko past-o-mat karen to kaise
KHair-andesh hain mana ki shanawar lekin
mauj-e-hasti se do do hath karen to kaise
KHurd bachchon ki tamanna hai ye 'abrar' ki bas
band muTThi mein ye din raat karen to kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.