is se baDh kar ye muqaddar na sanwarna chahe
is se baḌh kar ye muqaddar na sañvarnā chāhe
bas ye hasrat hai ki mujh par koī marnā chāhe
rāsta rok liyā karte haiñ bādal us kā
chāñd jab bhī mire āñgan meñ utarnā chāhe
Thes lagtī hai usī vaqt hamesha mujh ko
dil ke zaḳhmoñ meñ koī zaḳhm jo bharnā chāhe
hāl-e-dil kaise sunā.ūñ maiñ use ai yaaro
mere jazbāt kī jo qadr na karnā chāhe
TūTte TūTte ab aaj mirī āñkhoñ meñ
ek hī ḳhvāb magar vo bhī bikharnā chāhe
kaañp jaatā hai musavvir kā qalam ai 'tashna'
rañg jab bhī mirī tasvīr meñ bharnā chāhe
is se baDh kar ye muqaddar na sanwarna chahe
bas ye hasrat hai ki mujh par koi marna chahe
rasta rok liya karte hain baadal us ka
chand jab bhi mere aangan mein utarna chahe
Thes lagti hai usi waqt hamesha mujh ko
dil ke zaKHmon mein koi zaKHm jo bharna chahe
haal-e-dil kaise sunaun main use ai yaro
mere jazbaat ki jo qadr na karna chahe
TuTte TuTte ab aaj meri aankhon mein
ek hi KHwab magar wo bhi bikharna chahe
kanp jata hai musawwir ka qalam ai 'tashna'
rang jab bhi meri taswir mein bharna chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.