is se behtar kahin gunjta kaun hai
is se behtar kahīñ gūñjtā kaun hai
dil ke jitnā yahāñ khokhlā kaun hai
ye shikāyat nahīñ terī tārīf hai
jaise bhūlī hai tū bhūltā kaun hai
dar pe dastak to hotī hai āvāz par
terī aatī nahīñ dekhnā kaun hai
tum to ḳhush thiiñ sagā.ī kī tasvīr meñ
phir ye mujh meñ taḌaptā huā kaun hai
jiit ke baa'd hotā hai ye faisla
kaun dānav hai aur devtā kaun hai
āj-kal fikr kal kī kisī ko nahīñ
kal ki mānind ab sochtā kaun hai
aur to baaqī nahīñ kuchh bhī khanDar meñ bas
dekhne ko bachā hai jalā kaun hai
thā gumāñ sokh letī haiñ ashkoñ ko ye
yūñhī palkeñ bhalā nochtā kaun hai
merā honā subūt us ke hone kā hai
soch 'anant' asliyat meñ ḳhudā kaun hai
is se behtar kahin gunjta kaun hai
dil ke jitna yahan khokhla kaun hai
ye shikayat nahin teri tarif hai
jaise bhuli hai tu bhulta kaun hai
dar pe dastak to hoti hai aawaz par
teri aati nahin dekhna kaun hai
tum to KHush thin sagai ki taswir mein
phir ye mujh mein taDapta hua kaun hai
jit ke ba'd hota hai ye faisla
kaun danaw hai aur dewta kaun hai
aaj-kal fikr kal ki kisi ko nahin
kal ki manind ab sochta kaun hai
aur to baqi nahin kuchh bhi khanDar mein bas
dekhne ko bacha hai jala kaun hai
tha guman sokh leti hain ashkon ko ye
yunhi palken bhala nochta kaun hai
mera hona subut us ke hone ka hai
soch 'anant' asliyat mein KHuda kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.