is se behtar meri taswir nahin ho sakti
is se behtar mirī tasvīr nahīñ ho saktī
zāt-e-be-aib se taqsīr nahīñ ho saktī
kuchh to hai ḳhaas asīrī meñ latāfat varna
sab ko darkār yuuñ zanjīr nahīñ ho saktī
mujh ko dhuñdlā sā koī ḳhvāb nazar aayā hai
ab sahar hone meñ tāḳhīr nahīñ ho saktī
apnī bīnā.ī se raushan rakho āñkheñ apnī
har kisī ġhaar meñ tanvīr nahīñ ho saktī
kaisī uljhan hai ki jis shai kī talab hai mujh ko
vo kisī shaḳhs kī jāgīr nahīñ ho saktī
jab qalam haath meñ aayā to ye jaanā maiñ ne
mujh se hālat merī tahrīr nahīñ ho saktī
ye bharose kī hai buniyād bhī lāzim 'rāhat'
yuuñ imārat koī ta.amīr nahīñ ho saktī
is se behtar meri taswir nahin ho sakti
zat-e-be-aib se taqsir nahin ho sakti
kuchh to hai KHas asiri mein latafat warna
sab ko darkar yun zanjir nahin ho sakti
mujh ko dhundla sa koi KHwab nazar aaya hai
ab sahar hone mein taKHir nahin ho sakti
apni binai se raushan rakho aankhen apni
har kisi ghaar mein tanwir nahin ho sakti
kaisi uljhan hai ki jis shai ki talab hai mujh ko
wo kisi shaKHs ki jagir nahin ho sakti
jab qalam hath mein aaya to ye jaana main ne
mujh se haalat meri tahrir nahin ho sakti
ye bharose ki hai buniyaad bhi lazim 'rahat'
yun imarat koi tamir nahin ho sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.