is se pahle is tarah ghar ko sajaya to nahin
is se pahle is tarah ghar ko sajāyā to nahīñ
dekhnā darvāze ke bāhar vo aayā to nahīñ
duur paas āñkhoñ meñ koī shahr bas aayā hai phir
ye kisī vīrānī-e-nau kā kināya to nahīñ
us jagah raushan hai shāḳh-e-dil pe jo ḳhurshīd sā
vo guzishta rut kā koī phūl-sāya to nahīñ
haañ bahut maġhmūm thā kal raat tere dhyān meñ
jaañ charāġh-e-yād ko lekin bujhāyā to nahīñ
haañ har ik ḳhush-chehra ko dil khol kar detā huuñ daad
chehra-e-sāda pa koī tujh sā bhāyā to nahīñ
tū bahut royā hai merī yaad meñ aur ro.egā
ai vafā-pesha magar maiñ muskurāyā to nahīñ
is se pahle is tarah ghar ko sajaya to nahin
dekhna darwaze ke bahar wo aaya to nahin
dur pas aankhon mein koi shahr bas aaya hai phir
ye kisi virani-e-nau ka kinaya to nahin
us jagah raushan hai shaKH-e-dil pe jo KHurshid sa
wo guzishta rut ka koi phul-saya to nahin
han bahut maghmum tha kal raat tere dhyan mein
jaan charagh-e-yaad ko lekin bujhaya to nahin
han har ek KHush-chehra ko dil khol kar deta hun dad
chehra-e-sada pa koi tujh sa bhaya to nahin
tu bahut roya hai meri yaad mein aur roega
ai wafa-pesha magar main muskuraya to nahin
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 49)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.