is se pahle ki bichhaDne ka irada kar len
is se pahle ki bichhaḌne kā irāda kar leñ
aao ham zikr mohabbat kā ziyāda kar leñ
bin piye bhī to shab-e-hijr guzar saktī hai
kyā zarūrī hai ki sar tohmat-e-bāda kar leñ
ye bhī ho saktā hai vo ḳhud meñ simaT kar aa.eñ
ham bhī mumkin hai ki āġhosh kushāda kar leñ
ham ko malbūs-e-sukūnat to nahīñ hogā nasīb
rāste kī hī thakan tan kā labāda kar leñ
ham faqīroñ ko jahāñ vāloñ ne samjhā kyā hai
bādshāhoñ ko bhī chāheñ to piyāda kar leñ
mujh ko us haath pe dil rakhnā thā maiñ rakh aayā
ab vo chāheñ to mire dil kā burāda kar leñ
is se pahle ki bichhaDne ka irada kar len
aao hum zikr mohabbat ka ziyaada kar len
bin piye bhi to shab-e-hijr guzar sakti hai
kya zaruri hai ki sar tohmat-e-baada kar len
ye bhi ho sakta hai wo KHud mein simaT kar aaen
hum bhi mumkin hai ki aaghosh kushada kar len
hum ko malbus-e-sukunat to nahin hoga nasib
raste ki hi thakan tan ka labaada kar len
hum faqiron ko jahan walon ne samjha kya hai
baadshahon ko bhi chahen to piyaada kar len
mujh ko us hath pe dil rakhna tha main rakh aaya
ab wo chahen to mere dil ka burada kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.