is se pahle ki charaghon ko wo bujhta dekhe
is se pahle ki charāġhoñ ko vo bujhtā dekhe
us se kahnā ki vo aa.e mirā chehra dekhe
us se kahnā mire chehre se ye āñkheñ le jaa.e
us se kahnā ki kahāñ tak koī rasta dekhe
maiñ ne dekhā hai samundar meñ utartā sūraj
us se kahnā ki mashiyyat kā ishārā dekhe
us se kahnā ye munādī bhī karā dī jaa.e
koī is ahd meñ ab ḳhvāb na sachchā dekhe
ek muddat se in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ
us se kahnā vo koī ḳhvāb na aisā dekhe
us se kahnā kabhī vo bhī to sar-e-shām 'ravish'
merī palkoñ pe sitāroñ ko utartā dekhe
is se pahle ki charaghon ko wo bujhta dekhe
us se kahna ki wo aae mera chehra dekhe
us se kahna mere chehre se ye aankhen le jae
us se kahna ki kahan tak koi rasta dekhe
main ne dekha hai samundar mein utarta suraj
us se kahna ki mashiyyat ka ishaara dekhe
us se kahna ye munadi bhi kara di jae
koi is ahd mein ab KHwab na sachcha dekhe
ek muddat se in aankhon mein koi KHwab nahin
us se kahna wo koi KHwab na aisa dekhe
us se kahna kabhi wo bhi to sar-e-sham 'rawish'
meri palkon pe sitaron ko utarta dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.