Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is se pahle ki gham-e-ishq fughan tak pahunche

Anjum Fauqi Badayuni

is se pahle ki gham-e-ishq fughan tak pahunche

Anjum Fauqi Badayuni

MORE BYAnjum Fauqi Badayuni

    is se pahle ki ġham-e-ishq fuġhāñ tak pahuñche

    tum ye mauqa na do baat yahāñ tak pahuñche

    tā-ba-dāmān-e-junūñ aql nigahbān rahī

    phir mujhe hosh nahīñ haath kahāñ tak pahuñche

    le ġham-e-ishq hamī ḳhaak hue jaate haiñ

    ye to kahne ko na hogā ki fuġhāñ tak pahuñche

    aise māhaul meñ fariyād bhī lā-hāsil hai

    zabt karne se jahāñ baat fuġhāñ tak pahuñche

    is se pahle ki gham-e-ishq fughan tak pahunche

    tum ye mauqa hi na do baat yahan tak pahunche

    ta-ba-daman-e-junun aql nigahban rahi

    phir mujhe hosh nahin hath kahan tak pahunche

    le gham-e-ishq hami KHak hue jate hain

    ye to kahne ko na hoga ki fughan tak pahunche

    aise mahaul mein fariyaad bhi la-hasil hai

    zabt karne se jahan baat fughan tak pahunche

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now