is se pahle ki kahani se kahani nikle
is se pahle ki kahānī se kahānī nikle
aa mire dil meñ utar aañkh se paanī nikle
itnī ujlat meñ talāshī nahīñ lī jā saktī
saañp ko hukm karo rāt-kī-rānī nikle
ḳhair kī saarī duāoñ kā bhalā ho laḌkī
ek bosa dam-e-ruḳhsat ki girānī nikle
is liye bhī ye badan khīñchnā paḌtā hai mujhe
jitne sikke the mire paas zamānī nikle
us pe mauqūf hai jo hukm ho dariyā dekhe
ret nikle yā tarā.ī meñ se paanī nikle
is se pahle ki kahani se kahani nikle
aa mere dil mein utar aankh se pani nikle
itni ujlat mein talashi nahin li ja sakti
sanp ko hukm karo raat-ki-rani nikle
KHair ki sari duaon ka bhala ho laDki
ek bosa dam-e-ruKHsat ki girani nikle
is liye bhi ye badan khinchna paDta hai mujhe
jitne sikke the mere pas zamani nikle
us pe mauquf hai jo hukm ho dariya dekhe
ret nikle ya tarai mein se pani nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.