is se pahle ki kuchh bola jae
is se pahle ki kuchh bolā jaa.e
baat ko zehn meñ tolā jaa.e
raaz phir raaz nahīñ rahtā hai
rāz-e-dil sab se na kholā jaa.e
aib kitne hī dikheñge ham ko
apne man ko jo TaTolā jaa.e
man kī parvāz bahut hai ūñchī
duur tak man kā hiñDolā jaa.e
rishte bante haiñ madhur tab 'ambar'
pyaar kā rañg jo gholā jaa.e
is se pahle ki kuchh bola jae
baat ko zehn mein tola jae
raaz phir raaz nahin rahta hai
raaz-e-dil sab se na khola jae
aib kitne hi dikhenge hum ko
apne man ko jo TaTola jae
man ki parwaz bahut hai unchi
dur tak man ka hinDola jae
rishte bante hain madhur tab 'ambar'
pyar ka rang jo ghola jae
- Book : Adbi Safar Jari Rahe (Pg. 60)
- Author : Amber Joshi
- Publication : Star Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.