is se pahle ki mera zehn sanbhaale mujhko
is se pahle ki merā zehn sañbhāle mujh ko
ye tirī sāda-dilī maar na Daale mujh ko
niiñd kar detī hai ḳhvāboñ ke havāle mujh ko
band āñkhoñ se bhī dikhte haiñ ujāle mujh ko
muntazir huuñ vo kisī taur mujhe yaad kare
facebōk meñ hī sahī DhūñD nikāle mujh ko
dekhtā huuñ baḌī ummīd se duniyā kī taraf
mausam-e-hijr se koī to bachā le mujh ko
ek din tujh ko dikhā.ūñgā maiñ din meñ taare
tab talak zindagī chāhe to nachā le mujh ko
is se pahle ki mera zehn sanbhaale mujh ko
ye teri sada-dili mar na Dale mujh ko
nind kar deti hai KHwabon ke hawale mujh ko
band aankhon se bhi dikhte hain ujale mujh ko
muntazir hun wo kisi taur mujhe yaad kare
facebook mein hi sahi DhunD nikale mujh ko
dekhta hun baDi ummid se duniya ki taraf
mausam-e-hijr se koi to bacha le mujh ko
ek din tujh ko dikhaunga main din mein tare
tab talak zindagi chahe to nacha le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.